Monday, June 2, 2014

Chitthee 

Maa tumhaare liye,
aaj, kuch jee bhar aaya hai!
likh doon kuch man ki baatein,
in pannon par jaate-jaate,
uker doon wo chitra bachpan k,
rangon mein jinhe bhulaaya...
maine yauvan k!!!

kuch hain wo ankahee baatein..
yaa ho saktaa hai kabhee..
keh gaee ho sab,
tere uttar ko vyaakul, meri aankhen!!

dekha hai tumhe,
nanhee umra se,
mamta k roop mein..
jo chhup gaee anushaasan k peechhe,
banaatee gaee dar kaa mazboot gheraa..
meri.... "kabhee muskaatee" 
aankhon k neeche!!

aisa nahi,
ki pyaar nahi tha tum mein,
sneh nahi ho tum mein...

har dukh mein saath nibhaatee ho,
rone par gale lagaatee ho,
duniyaadaaree samjhaatee ho,
nirantar barhne ki prerna ban jaatee ho..

aaj,
meri vyathaa sun aansu bahaatee ho,
mujhe bachaane ko sabse takraatee ho!!!!

aur bhee maa tumne,
kiya bohot hai,
diya bohot hai.....

Par,
samay-bhaagya ne hume yu kyun door kiya?
bachpan ki chanchalta ko pal bhar mein he choor kiya!

tumhaaree rachna door tumse,
mit tee rahee, pistee rahee...
maslee gaee, raundee gaeee!

tumhaaree nanhee paree
kin-kin haathon mein khelee gaee!
un peeraaon ka gyaan bhee naa thaa,
jo mujhse jhelee gaee...

par Maa,
tere anushaasan!
krodhit aawaaz!! ne
mamta rahit aankhon ne,
lagta hai mujhko bana diya,
ek "sajal nadi" jo,
chupchap grehen kar legi
daalo amrit yaa vish do!!!

jab sehtee thee main,
ghutkar....haskar rehtee thee main,
har pal bachpan khotee thee main!!

tum hotee nahi thee mere paas O Maa!!
kaise bhula sakoongee ye maa?

aaj
pyaar se khaana khilaate bacchon ko,
maine tumhe dekha hai maa,
inhee nayanon se,
jo darte the! 
aansu bahaate the!
daant sehte the!
par kuch na kehte the!!

aaj bhee utthtee tees ye man mein...
mujhe kyun na khilaaya apnee godee mein?
aise jab,
main thee nanhee apne bachpan mein!!!!