Monday, November 3, 2014


Chhoot gaya woh deewaana...............


Chhoot k woh deewaana,
aaya jab waapas neer mein,
hairan hua naa paake khud ko,
pehle walee tasweer mein!!
shaakhon k patte badal gae..
khud shaakhon ne bhee muh modaa hai!!!!
khud ki jarjartaa ne uske kotar ko….
aandhiyon se barhkar toraa hai!!

Jis hariyaalee ki chaah mein,
lautaa thaa woh deewaana…
aaj use lag raha apnaa hee aangan begaana!
pardes mein socha karta,
kyaa hoon main rishton k bina?
waapas aane ki chaah mein…..
pal-pal usne ro-ro k gina…

Sone k pinjar mein,
tyaag, samarpan bhara woh dil,
apno k liye taraptaa tha…

Wahaan…. Mayaanagree k chhalaave mein bhataktaa begaana thaa..
yahaan apno k beech, 
rishton k jangal mein uskaa kotar veeraana tha!!

Kyaa fitrat hai uskee yeh..yaa hai uska muqqaddar?
laakh koshishen ki…..
par naa ban saka pyaar ka sikandar!!

Shayad,
naa khulkar pankh pasaare!!
naa uraa uunche aasmaan mein!!
Moh ki beri paanv mein hai?
yaa pankhon par koi bojh?
yeh dukh dete,
sukh dete pal,
uske he man ki khoj?

Lay sur-taal kaa sangam bhee
tooota –toota, bikhraa-bikhraa……
shayad he woh pal aae
jab jeevan ka har pal ho nikhraa-nikhraa!
khud mein he haunslaa toot gaya…
khud se he jab wo rootth gaya!!

Naa honaa hairaan tum,
gar kal koi likh de,
chhoot k aaya jo deewaana,
masroof tha jo likhne mein, pyaar kaa afsaana….
uske haathon se chhoot gaya,
Zindagi kaa paimaana!!
is jahaan se chhoot gaya woh deewaana…

Chhoot gaya woh deewaana!!!!!

Monday, June 2, 2014

Chitthee 

Maa tumhaare liye,
aaj, kuch jee bhar aaya hai!
likh doon kuch man ki baatein,
in pannon par jaate-jaate,
uker doon wo chitra bachpan k,
rangon mein jinhe bhulaaya...
maine yauvan k!!!

kuch hain wo ankahee baatein..
yaa ho saktaa hai kabhee..
keh gaee ho sab,
tere uttar ko vyaakul, meri aankhen!!

dekha hai tumhe,
nanhee umra se,
mamta k roop mein..
jo chhup gaee anushaasan k peechhe,
banaatee gaee dar kaa mazboot gheraa..
meri.... "kabhee muskaatee" 
aankhon k neeche!!

aisa nahi,
ki pyaar nahi tha tum mein,
sneh nahi ho tum mein...

har dukh mein saath nibhaatee ho,
rone par gale lagaatee ho,
duniyaadaaree samjhaatee ho,
nirantar barhne ki prerna ban jaatee ho..

aaj,
meri vyathaa sun aansu bahaatee ho,
mujhe bachaane ko sabse takraatee ho!!!!

aur bhee maa tumne,
kiya bohot hai,
diya bohot hai.....

Par,
samay-bhaagya ne hume yu kyun door kiya?
bachpan ki chanchalta ko pal bhar mein he choor kiya!

tumhaaree rachna door tumse,
mit tee rahee, pistee rahee...
maslee gaee, raundee gaeee!

tumhaaree nanhee paree
kin-kin haathon mein khelee gaee!
un peeraaon ka gyaan bhee naa thaa,
jo mujhse jhelee gaee...

par Maa,
tere anushaasan!
krodhit aawaaz!! ne
mamta rahit aankhon ne,
lagta hai mujhko bana diya,
ek "sajal nadi" jo,
chupchap grehen kar legi
daalo amrit yaa vish do!!!

jab sehtee thee main,
ghutkar....haskar rehtee thee main,
har pal bachpan khotee thee main!!

tum hotee nahi thee mere paas O Maa!!
kaise bhula sakoongee ye maa?

aaj
pyaar se khaana khilaate bacchon ko,
maine tumhe dekha hai maa,
inhee nayanon se,
jo darte the! 
aansu bahaate the!
daant sehte the!
par kuch na kehte the!!

aaj bhee utthtee tees ye man mein...
mujhe kyun na khilaaya apnee godee mein?
aise jab,
main thee nanhee apne bachpan mein!!!!