Monday, November 3, 2014


Chhoot gaya woh deewaana...............


Chhoot k woh deewaana,
aaya jab waapas neer mein,
hairan hua naa paake khud ko,
pehle walee tasweer mein!!
shaakhon k patte badal gae..
khud shaakhon ne bhee muh modaa hai!!!!
khud ki jarjartaa ne uske kotar ko….
aandhiyon se barhkar toraa hai!!

Jis hariyaalee ki chaah mein,
lautaa thaa woh deewaana…
aaj use lag raha apnaa hee aangan begaana!
pardes mein socha karta,
kyaa hoon main rishton k bina?
waapas aane ki chaah mein…..
pal-pal usne ro-ro k gina…

Sone k pinjar mein,
tyaag, samarpan bhara woh dil,
apno k liye taraptaa tha…

Wahaan…. Mayaanagree k chhalaave mein bhataktaa begaana thaa..
yahaan apno k beech, 
rishton k jangal mein uskaa kotar veeraana tha!!

Kyaa fitrat hai uskee yeh..yaa hai uska muqqaddar?
laakh koshishen ki…..
par naa ban saka pyaar ka sikandar!!

Shayad,
naa khulkar pankh pasaare!!
naa uraa uunche aasmaan mein!!
Moh ki beri paanv mein hai?
yaa pankhon par koi bojh?
yeh dukh dete,
sukh dete pal,
uske he man ki khoj?

Lay sur-taal kaa sangam bhee
tooota –toota, bikhraa-bikhraa……
shayad he woh pal aae
jab jeevan ka har pal ho nikhraa-nikhraa!
khud mein he haunslaa toot gaya…
khud se he jab wo rootth gaya!!

Naa honaa hairaan tum,
gar kal koi likh de,
chhoot k aaya jo deewaana,
masroof tha jo likhne mein, pyaar kaa afsaana….
uske haathon se chhoot gaya,
Zindagi kaa paimaana!!
is jahaan se chhoot gaya woh deewaana…

Chhoot gaya woh deewaana!!!!!

Monday, June 2, 2014

Chitthee 

Maa tumhaare liye,
aaj, kuch jee bhar aaya hai!
likh doon kuch man ki baatein,
in pannon par jaate-jaate,
uker doon wo chitra bachpan k,
rangon mein jinhe bhulaaya...
maine yauvan k!!!

kuch hain wo ankahee baatein..
yaa ho saktaa hai kabhee..
keh gaee ho sab,
tere uttar ko vyaakul, meri aankhen!!

dekha hai tumhe,
nanhee umra se,
mamta k roop mein..
jo chhup gaee anushaasan k peechhe,
banaatee gaee dar kaa mazboot gheraa..
meri.... "kabhee muskaatee" 
aankhon k neeche!!

aisa nahi,
ki pyaar nahi tha tum mein,
sneh nahi ho tum mein...

har dukh mein saath nibhaatee ho,
rone par gale lagaatee ho,
duniyaadaaree samjhaatee ho,
nirantar barhne ki prerna ban jaatee ho..

aaj,
meri vyathaa sun aansu bahaatee ho,
mujhe bachaane ko sabse takraatee ho!!!!

aur bhee maa tumne,
kiya bohot hai,
diya bohot hai.....

Par,
samay-bhaagya ne hume yu kyun door kiya?
bachpan ki chanchalta ko pal bhar mein he choor kiya!

tumhaaree rachna door tumse,
mit tee rahee, pistee rahee...
maslee gaee, raundee gaeee!

tumhaaree nanhee paree
kin-kin haathon mein khelee gaee!
un peeraaon ka gyaan bhee naa thaa,
jo mujhse jhelee gaee...

par Maa,
tere anushaasan!
krodhit aawaaz!! ne
mamta rahit aankhon ne,
lagta hai mujhko bana diya,
ek "sajal nadi" jo,
chupchap grehen kar legi
daalo amrit yaa vish do!!!

jab sehtee thee main,
ghutkar....haskar rehtee thee main,
har pal bachpan khotee thee main!!

tum hotee nahi thee mere paas O Maa!!
kaise bhula sakoongee ye maa?

aaj
pyaar se khaana khilaate bacchon ko,
maine tumhe dekha hai maa,
inhee nayanon se,
jo darte the! 
aansu bahaate the!
daant sehte the!
par kuch na kehte the!!

aaj bhee utthtee tees ye man mein...
mujhe kyun na khilaaya apnee godee mein?
aise jab,
main thee nanhee apne bachpan mein!!!!

Saturday, October 19, 2013

 Main Teri Rooh..Tu Mera Dil

Kehte hain ki sabhee ko,
                  mukkammal jahaa nahi milta..
koshish karte to hain bohot magar,
                  manzilon ka nishaa nahi milta..
chaahkar bhee hasratein, 
                  reh jaatee hain adhooree..
kee thee ibaadatein hazaar magar,
                  ek bhee hoti nahi pooree..
arziyaan likh-likh k daalee, har khwaazaa k dar pe!
khaarij hotee gaee sab-ki-sab ek-ek kar k!

chaahaton se, ishq se, jazbaaton se hotaa nahi rihaa....
maayoos sa dil, 
kehtaa hai, is zindgee se,
jaae to ab jaae kahaan?

Par...fir wo "mehboobaa" 'rooh',
dil ko yu behlaatee hai!!
taptee zameen se utthakar, arsh pe le jaatee hai..
apne "roohaani aanchal" se sir uska sehlaatee hai.

Kehtee hai...
e humnavaa
tu kyun pareshaa doltaa hai?
mujhme chhupee apnee khushi ko,
baahar kis se tolta hai?

Main hoon aaeenaa tere ek-ek ehsaas ka!
kaamyaabee ka jashn ho,
ya
ishq mein shikast k ehsaas kaa!

har soorat teri meri aankhon mein basee hai..
mere liye to sabse badee,
"teri besaakhtaa hasee" hai....

chaahe sab kuch jaae chhoot,
aj tera ishq bhee gaya hai tujhse rootthh!!!

par hoon main tere sang sadaa,
tera haunslaa,
tera jazbaa bankar!

naa kisi ki raah tak.
naa koi ummeed laga..
jo naa huaa aaj tera,
wo thaa nahi kal bhee sagaa!!

bas "ek main hoon ek tu hai"
aur "apna haunsla hai"

fir se mujhse "ishq" kar!
mujh pe khud ko kar fanaa!!
meri aawaaz pe chalkar,
khud apnaa "mukkaddar" banaa!!

mat maang, 
sukoon apnee raahon se..
kaarvaan ki iltijaa naa kar!
le sahaara "meri baahon" kaa
par "bulandee" ki parwaah naa kar!!

kaise bhee haalaat ho,
mujhse naa hona "bewafaa"
ho akela jab bhee tu 
pukaarna mujhe "ek dafaa'

main nahi ye jaantee
kya hai tera "mustaqbil"
bas yahee pata mujhe......
"MAIN TERI ROOH AUR TU MERA DIL"

Sunday, September 15, 2013

ehsaas

tum jab chhor dete ho mera saath..
nahi rehtee fir kehne ko koi baat..

aankhen bas neerav see ho jaatee hain,
hontth bas bikhre-anmane se ho jaate hain..

chaahkar bhee aankhen saath na de paatee hotthon ki haseee kaa!!!!
man k veg se bhar bhar ye aatee hain..

kehne ko kuch bachtaa to nahi..
fir bhee,
naa jaane kitnee baaten hain..
jo naa kehne k gham me dab see jaatee hain..

man udelta hai aankhon mein aansu
par,
maa-papa k dard ko bhaanpkar
ruk jaata hai samandar....

fir dard sehtee hain ye aankhen,
jo kabhee..
sajtee thee kaale kaajal ki syaah se,
gaurvarna mukhrit ho utthta tha,
hontth surkh gulaabee muskura utthte the,
khil jaatee thee kopalon pe laalimaa!!!

"SIRF EK TUMHAARE EHSAAS SE"

door hokar bhee,
paas the tum mere,
har pal aankhon mein sapne the tere..
milne k tumse..
pal bitaane k saath tumhaare..
jin mein hum tum naya jeevan sanvaare..
aane waale kal k salone sapne!!

tum hote ho to hota hai..
ek haunsla,
ek humdam,
ek vishwaas,
ek aas..

ki chaahe ho kitnee bhee gardishen,
lag jaaen kaisee bhee bandishen..
par tum ho wahi jo na chhoroge mera saath!!!

par aaj sab kuch tootta saa lag raha..
pal-pal ye man tum bin bikhar raha..

duniyaa naa jaane kahan jaake sukoon paaegee meri?
tum the to yahee aaraam aa jaata tha..
man mera tumhaare sapno mein he sair kar aata tha..
ghane jungalon,
gehree nadiyaa,
uunche him-shrinkhalaaon ki.....

par tum he nahin to
ab jaaen kahan....
tum hee bata do "mere man kaa aashiyaan hai kahan"?